Sar mai dard hona aam bat hai lekin jab yeh dard hamesha hone lage aur badhne lage to yeh pareshani ka karan bhi ho sakta hai. Kuch log sar mai hone wale dard ko andekha kar dete hai. Lekin jab bhi sardard lagatar bane rahe tab ise andekha nahi karna chahiye. Kyoki yeh mastishk cancer ya brain tumor bhi ho sakta hai.
Mastishk cancer jyadatar 3 se 15 saal aur 50 saal se adhik umra ke logo mai hota hai. Yeh rog mahila ho ya purush kisi ko bhi ho sakta hai. Iss rog ke hone ka pramukh karan saans ke dwara vishaile padartho ka sharir ke andar pravesh karna hota hai. Yeh vishaile padarth andar jakar sar mai sankraman ka karan bante hai aur mastishk cancer jaisi ghatak bimari ka rup le lete hai.
Brain Tumor Symptoms in Hindi: Jane Iske Lakshan aur Upchar
Mastishk cancer se grasit marijo ke sar mai aksar dard hona, dore panda, ek aankh mai pareshani hona, chehre par kamjori, susti lagna aadi lakshan dekhne ko milte hai. Iss bimari ke sahi ilaj aur lakshan janne ke liye yaha padheBrain Tumor Symptoms in Hindi aur sahi ilaj ke dwara bache iss janleva bimari se.