Rochak Hindi Blog

Home Remedies for Skin Allergy in Hindi: Jane Aasan Upchar-...


Jab bhi ham khubsurti ki baat karte hai to sabse pehle swasth sundar twacha ka khayal aata hai. Swasth twacha hame aakarshit dikhne mai madad karti hai. Lekin yadi hame isi twacha par allergy ho jaye to hamari twacha badsurat dikh sakti hai.
Aapko twacha ki allergy bahut se karano se ho sakti hai. Jaise suraj ki dhup ke sampark mai aane se, kuch tarah ke kapdo se, yaha tak ki kisi kisi ko kuch sabjiyo se bhi allergy rehti hai. Iske atirikt kisi dawa, sabun, cosmetic ya perfume jaisi cheezo se bhi allergy hona aam baat hoti hai.
Hamari twacha bahut jyada sensitive hoti hai. Isliye jo chize ise suit nahi karti hai. Unka asar twacha par bahut jaldi dikhai dene lagta hai. Vaise to allergy wakt ke sath theek ho jati hai, lekin kai bar yeh apne aap thik nahi hoti, ise illaj ki jarurat hoti hai. Isliye twacha ko iske nuksan se bachane ke liye iska illaj aavyashak hai.
Agar aap iske liye prakratik upay ko apnayege to aapke liye bahut faydemand hoga. Gharelu chizo se twacha ki dekhbhal karne se aapko kisi prakar ke side effects ka khatra bhi nahi rehta hai to aaiye jante hai Home Remedies for Skin Allergy in Hindi.

Home Remedies for Skin Allergy in Hindi: Prabhavi Gharelu Upay

loading...

Search